Google

Saturday 3 September 2011

Ba-zaahir aam lehje main Kaha tha main ne jab us se

Ba-zaahir aam lehje main
Kaha tha main ne jab us se
"Badal lo raasta apna
Juda raahain yaheen kar lo
Hamare chahne na chahne se
Kuch nahi hota


Ye he sach hai k hum do mukhtalif
Raston k raahi hain
To phir kyon dil ki maanen hum
Shuroo me manti hoon main
Aziyat dil ko pohanche gi
Magar phir waqt guzre ga
Sabhi zakhmon ko bhar de ga"

Mere is aam se lehje pe
Wo ik pal ko chonka tha
Meri aankhon me aankhen daal ker
Hairat se poocha tha
"Ye sub jo keh rahi ho
Khud ko samjha bhi pao gi?"

Bohat he jee karra ker k
Main us dum muskurai thi
Bohat khud pe jabar ker k
Main us se keh yeh paai thi
"Meri tum fiker rehne do
Sambhal jaon gi main khud hi
Sabhi zakhmon ko see lon gi
Bhula ker saari baton ko
Akeli bhi main jee lon gi"

Bohat he be-yaqeen aankhon se
Us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bole
Wo gaya aur phir nahi aaya
Aur ab tark_e_talluq ko
Agerche umr beeti hai

Magar is dil pe us ki zaat ka
Jo naqsh qayem tha
Kabhi bhi dhundla nahi hota
Mujhe mahsoos hota hai
Jese mere kanoon me
Bina ik lafz bole

Wo apni bolti aankhoon se
Sargoshi si kerta hai
"Woh sub jo keh rahi thi
Khud ko wo samjha bhi pai ho...?"