Google

Tuesday 9 August 2011

Tumhen jab rubaru dekha karengay




Mosin Naqvi


Tumhen jab rubaru dekha karengay


Ye socha hay buhat socha karengay



Nazar main chodvin ka chaand hoga


samandar ki zuban bola karengay



Tumhara aks jab utray ga dil main


Badan main aainay tuta karen gay



Bicharna hay to ye tay kar lein ab se


Judai ka safar Tanha karen gay



Na aae ga koi ilzam tum per


Ham apne aap ko Ruswa karen gay



Es uljhan mein kati hayumer Mohsin


k pal do pal main ham kaya kaya karen gay